Shivpuri vikas samiti ke liye ye garv ki bat hai ki samiti ke padadhikariyon ne united public higher secondary school me dhwjarohan karke aur bachchon ki sanskritik prastutiyon ko dekhsunkar manaya. ye school ek special school hai jisme shahar ke har kone se bachche school bus me baith kar aate hain aur bus ki monthly fees kewal 150 rupaye hai. any school jabki 400rupaye monthly lete hain. School ki samast shulk kaksha 12 tak bhi matr 1500 rupaye varshik hai. shahar ke dusre school 7000 se 10000 Rupaye tak fees basulte hain.itni kam fees ke bad bhi suvidhaye kisi bhi bade aur nami school se kam nahi hai. sc, st, obc ke bachchon ko to unki fees se jyada scholarship mil jati hai. padai ka star aisa ki adhikans bachche first div me pas hote hain aur result ka pratishat bhi 98 se 100 tak rahta hai. shikshak bhi adhik yogtadhari hain lekin samarpit hain. kam vetan par bhi bachchon ko puri lagan se padate hain. Shivpuri MP ke vikas me yah school apna vishesh yogdan 1986 se lagatar deta aa raha hai. Director shahid ali aur Principal Ku. Sangita shrivastava pure parishram ke sath school ko ek aadarsh school banane me lage hue hain. is school ki jankari shivpuri ke pratyek nagrik ko hona chahiye aur ise adhik se adhik logon ko batana chahiye.
No comments:
Post a Comment